Thursday, November 13, 2014

Ek Zalzala

Zalzala utha hai zalzala
Chunari ke daag ke khilaf
Janwaaron ke darindgi ke khilaf
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala

Zalzala utha hai zalzala
Zulm ke zanjeeron ke khilaf
Samaaj ke thekedaron ke khilaf
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala

Zalzala utha hai zalzala
Gharaundon ke buzdilon ke khilaf
Mazhab ke dhakoslo ke khilaf
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala

Zalzala utha hai zalzala
Netaon ke dilase ke khilaf
Himsa ke pujari ke khilaf
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala

Zalzala utha hai zalzala
Khudgarzi ki numaish ke khilaf
Neeyaton ke chalawat ke khilaf
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala

Aur koi na kahega
Aur koi na sunega
Mere saath na ho
To mera kya jayega

Insan bhi jagega
Mukhauta bhi hatega
Jo jaisa hai
Wahi nikal ke aayega

Zalzala utha hai zalzala
Na rukega ye zalzala
Na thamega ye zalzala