Friday, June 29, 2012

Maa tujhe salaam

Aey Maa

Tera tha kabhi uncha naam,
Tujhe karta tha har koi salaam,
Maa tujhe salaam.


Ab dekh tera kya ho gaya anjaam,
Teri izzat kahin ho gayi hai gumnaam,
Maa tujhe salaam.


Jahan janme the krishna-raam,
Ab to anyay ka hai bas naam,
Maa tujhe salaam.


Jaha lage logon ke daam,
Jaha satya ho dikhawe ka gulaam,
Maa tujhe salaam.


Jaha shahid aaye kitaabon ke kaam,
Jaha paisa hi ho sabka dhaam,
Maa tujhe salaam.

Jaha khoon se alag hai allah aur raam,
Jaha ahimsa sikhaye pandit aur imaam,
Maa tujhe salaam.

Jaha rang se bhed ka ho iljaam,
Jahan nari chunari ka ched hai inaam,
Maa tujhe salaam.


Jahan sach ka dhal chuka hai shyaam,
Jaha haar gaye gandhi aur kalam,
Maa tujhe salaam.


Aey Maa
Teri dhalne waali hai shyam,
Tera beta fir bhi bole,
Maa tujhe salaam.